muddateñ ho ga.ī hotā nahīñ pherā terā
tā.ir-e-hosh kahāñ ab hai baserā terā
chhāvnī Daal ke duniyā meñ rahegā kab tak
ḳheme rah jā.eñge uTh jā.egā Derā terā
rahtī hai shams-o-qamar ko tire saa.e kī talāsh
raushnī DhūñDhtī phirtī hai añdherā terā
khaa.e jaatī hai abhī sho.ala-mizājī ai sham.a
din se pahle huā jaatā hai saverā terā
phaaḌ kar pheñkte haiñ jāma-e-hastī ko sameT
le junūñ ham ne ye sāmān bikherā terā
maiñ hī terā huuñ to phir kyā kahūñ merā kyā hai
tū hī merā hai to phir kis liye merā terā
dekhnā 'nātiq'-e-shorīda ko pherī vaale
kūcha-e-yār meñ ho ab ke jo pherā terā