Natiq Gulavthi

to aaKHir saz-e-hasti kyun tarab-ahang-e-mahfil tha

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
to āḳhir sāz-e-hastī kyuuñ tarab-āhañg-e-mahfil thā
nashāt-ā.īn kaif-e-be-dilī yārab agar dil thā
ba-faiz-e-be-ḳhudī aise maqām-e-shauq meñ ham the
jahāñ kār-e-husūl-e-mudda.ā tahsīl-e-hāsil thā
maqām-e-hū suvaidā-e-mujarrad ālam-e-hairat
mirī gum-gashtagī se ab ye naqsha hai jahāñ dil thā
hameñ kam-baḳht ehsās-e-ḳhudī us dar pe le baiThā
ham uTh jaate to vo parda bhī uTh jaatā jo haa.il thā
kahāñ zauq-e-tan-āsānī meñ āsānī mayassar thī
talāsh-e-rāhat-e-manzil meñ dil gum-karda manzil thā
shikāyat sun ke ādāb-e-mohabbat kah diyā us ne
mujhe kah sun ke chup honā paḌā āḳhir ki qaa.il thā
zabān-e-'dāġh' o shān-e-'zauq' kuchh is meñ nahīñ 'nātiq'
are ye kyā hai tū to ham-navā-e-'nūh' o 'sā.il' thā
Top Urdushayar.com