Natiq Gulavthi

kabhi soz-e-dil ka gila kiya kabhi lab se shor-e-fughan uTha

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
kabhī soz-e-dil kā gila kiyā kabhī lab se shor-e-fuġhāñ uThā
koī ahl-e-zabt bhalā buto use kyā kare jo dhuāñ uThā
ye ḳhudā kī shaan to dekhiye ki ḳhudā kā naam hī rah gayā
mujhe taaza yād-e-butāñ huī jo haram se shor-e-azāñ uThā
mire sabr ne bhī ġhazab kiyā ki adū kī jaan pe ban ga.ī
ye kahāñ kī choT kahāñ lagī ye kahāñ kā dard kahāñ uThā
jo kabhī lagī kī ḳhabar sunī to ġhazab kī choT yahāñ lagī
mujhe soz-e-dil kā gumāñ huā jo kisī ke ghar se dhuāñ uThā
na huā ilāj-e-ġham-e-ḳhudī kisī barahman se na shaiḳh se
mujhe is balā se bachāne ko jo uThā to pīr-e-muġhāñ uThā
ye jahān dām-e-fareb hai jo chale to dekh ke chal zarā
jo tujhe ḳhayāl ho diid kā to samajh ke aañkh yahāñ uThā
tirī rāh-e-shauq meñ zo.af se kahūñ hāl-e-'nātiq'-e-zār kyā
ye vahīñ uThā hai jahāñ girā ye vahīñ girā hai jahāñ uThā
Top Urdushayar.com