Natiq Gulavthi

kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
kyuuñ ḳhayāl-e-rañj-o-rāhat se na hoñ begāna ham
jalva-gāh-e-yār hai dil ya.anī ḳhalvat-ḳhāna ham
haiñ kabhī vaa.iz kabhī haiñ murshid-e-mai-ḳhāna ham
ghūmte jaate haiñ hasb-e-gardish-e-paimāna ham
laakh par bhārī haiñ terī dast-gīrī chāhiye
kyuuñ kisī pe baar hoñ ai himmat-e-mardāna ham
khā.iye ye zahr kab tak khaa.e jaatī hai ye ziist
ai ajal kab tak raheñge rahn-e-āb-o-dāna ham
tū hameñ kahtā hai dīvāna to dīvāne sahī
pand-go āḳhir tujhe ab kyā kaheñ dīvāna ham
mudda.ī dil ishq ā.īn-o-adālat bazm-e-nāz
dīd-bāzī jurm mujrim aañkh hai jurmāna ham
āb-e-ashk-o-ātish-e-shauq-o-havā-e-āh se
haiñ vajūd-ārā.ī-e-ḳhākistar-e-parvāna ham
gum hai nām-e-āmirī ḳhuub ai nigāh-e-sāmrī
tere afsūñ se bane haiñ zīnat-e-afsāna ham
vaj.h-e-rusvā.ī hai 'nātiq' mastī-e-bazm-e-suḳhan
bāda-paimā haiñ ba-jām-e-ġhālib-e-mastāna ham
Top Urdushayar.com