iztirāb-e-dil meñ aa jā kar davām aa hī gayā
zindagī ko ek hālat par qayām aa hī gayā
ittifāqan is galī se le baḌhī umr-e-ravāñ
maiñ to samjhā thā ki ab merā maqām aa hī gayā
ho ga.ī āvāragardī be-gharī kī parda-dār
kaam jitnā ham ko aatā thā vo kaam aa hī gayā
bandagī-āmoz bazm-e-zindagī bechārgī
aadmī ko jab ġharaz aTkī salām aa hī gayā
intizām-e-roz-e-ishrat aur kar ai nā-murād
iid aatī hī rahī māh-e-siyām aa hī gayā
riñd jaane riñd kā īmān jaane shaġhl-e-riñd
pand-go ke muñh tak aanā thā harām aa hī gayā
ho gayā tark-e-talab kā naam ijz-e-hausla
jis se ham Darte rahe vo ittihām aa hī gayā
ab kaheñ kis se ki un se baat karnā hai gunāh
jab kalām aayā zabāñ par lā-kalām aa hī gayā
avval avval ḳhuub dauḌī kashtī-e-ahl-e-havas
āḳhir āḳhir Duub marne kā maqām aa hī gayā
rif.at-e-hastī ko pastī ne dikhāyā āsmāñ
jhoñpaḌoñ tak ūñche mahloñ se salām aa hī gayā
aa gayā hai ai falak zarroñ ko ehsās-e-ḳhudī
maiñ samajhtā huuñ ki vaqt-e-intiqām aa hī gayā
vo musalsal ab kahāñ tābānī-e-roz-e-nashāt
rah-rav-e-maġhrūr dekhā vaqt-e-shām aa hī gayā
hashr se achchhā rahā ik fitna-e-mahshar-ḳhirām
phir tamām aatā na aatā nā-tamām aa hī gayā
talḳh-kām afzā.ish-e-shīrīnī-e-ishrat huī
aate aate ho ke zahr-ālūd jaam aa hī gayā
baat kyā chhuptī ki thā apnā judā tarz-e-kalām
naam aayā bhī na thā 'nātiq' ki naam aa hī gayā