Natiq Gulavthi

wo mizaj puchh lete hain salam kar ke dekho

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
vo mizāj pūchh lete haiñ salām kar ke dekho
jo kalām ho kuchh is meñ to kalām kar ke dekho
ka.ī riñd-shaiḳh aise bhī haiñ duḳht-e-raz pe shaidā
jo halāl kar ke rakh deñge harām kar ke dekho
tum isī liye bane ho ki banāo bāteñ vaa.iz
kisī kaam ke agar ho to vo kaam kar ke dekho
ye hameñ bhī dekhnā hai tumheñ kyā kahegī duniyā
jo karam hai ḳhaas ham par use aam kar ke dekho
jo nasīb āzmānā hai to raat kaisī din kyā
kahīñ sub.h kar ke dekho kahīñ shaam kar ke dekho
ġham-e-zīst ko na dekho ki fareb-e-zindagī hai
ye masarratoñ ke armāñ to tamām kar ke dekho
koī jins-e-dil kā shāyad tumheñ mil bhī jaa.e gāhak
kahīñ le ke jaao 'nātiq' kabhī daam kar ke dekho
Top Urdushayar.com