Natiq Gulavthi

wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
vasf-e-jamāl-e-zauq hai ahl-e-nigāh kā
hairat kahūñ ki shor kahūñ vaah vaah kā
ahl-e-junūñ pe zulm hai pābandī-e-rusūm
jaada hamāre vāste kāñTā hai raah kā
rakhtā hai talḳh-kām ġham-e-lazzat-e-jahāñ
kyā kījiye ki lutf nahīñ kuchh gunāh kā
kyā kuchh janāb-e-shaiḳh kī niyyat se thā ba.iid
mauqa.a bhī duḳht-e-raz ne diyā ho gunāh kā
ai barq kab se ik nazar-e-garm ke liye
ātash-bajāñ hai dasht meñ tinkā giyāh kā
hañgāma-e-hayāt se lenā to kuchh nahīñ
haañ dekhte chalo ki tamāshā hai raah kā
maiñ hāsil-e-nazar huuñ tamannā-e-dīd meñ
letā huuñ kaam har bun-e-mū se nigāh kā
'nātiq' gila-pasand hai tū ġham-jafā-pasand
ai dād-ḳhvāh kaam hai be-dād-ḳhvāh kā
Top Urdushayar.com