Natiq Gulavthi

jo sunte hain to main mamnun hun unki inayat ka

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
jo sunte haiñ to maiñ mamnūn huuñ un kī ināyat kā
kahūñ kyā ab ki mauqa.a hī nahīñ baaqī shikāyat kā
nayā mazmūn kyā hotā vo ḳhat meñ aur kyā likhte
vahī aayā hai jo likkhā huā thā apnī qismat kā
hameñ to aap kī bebākiyoñ se Dar hī rahtā hai
nahīñ ma.alūm kis din vaqt aa jaa.e nadāmat kā
nazar aatā nahīñ ab ghar meñ vo bhī uf re tanhā.ī
ik ā.īne meñ pahle aadmī thā merī sūrat kā
thake ahbāb āḳhir har tarah 'nātiq' ko samjhā kar
asar minnat samājat kā na kuchh la.anat malāmat kā
Top Urdushayar.com