ḳhirad-āmoz hastī hai magar ab kyā kahūñ vo bhī
ki ban jaatī hai dīvānoñ kī duniyā meñ junūñ vo bhī
savāl ik be-muravvat se talab aisī ki kyā kahiye
ham apnī zindagī se māñgte haiñ aur sukūñ vo bhī
butoñ ke saath lī dī sī jo yād-allāh baaqī hai
to kyā shaiḳh-e-haram tere liye maiñ chhoḌ duuñ vo bhī
riyā-kārī ke sajde shaiḳh le baiTheñge masjid ko
kisī din dekhnā ho kar rahegī sar-nigūñ vo bhī
dharā kyā hai jo ham se yād-e-māzī le ke jā.egī
jab aa jaatī hai to do ghūñT pī letī hai ḳhuuñ vo bhī
ga.e sab valvale saarī umīdeñ ho ga.iiñ ruḳhsat
bachī hai zindagī baaqī to ab maiñ kyā karūñ vo bhī
nirālī baat duniyā-e-danī meñ kaun sī hotī
yahāñ to dīdanī hai aur mirā hāl-e-zabūñ vo bhī
musībat zindagī kī kis ke ghar ab sar chhupā.egī
ajal itnī ijāzat de ki maiñ letā chalūñ vo bhī
mohabbat ho to ho bhī jaa.e sar-bar chashm-e-pur-fan se
abhī se kyā kahūñ 'nātiq' fusūñ ye bhī fusūñ vo bhī