sard ho jaatī hai fikr-e-jāh-e-duniyā jis ke ba.ad
vo zarā sā hai ḳhayāl ai dil ki phir kyā is ke ba.ad
dil ba-mushkil āstān-e-but ke sajdoñ se phirā
sar uThāyā to sahī lekin baḌī ghis ghis ke ba.ad
be-ḳhudī aa.ī thī un ke ba.ad bazm-e-nāz meñ
phir nahīñ ma.alūm ham ko kaun aayā kis ke ba.ad
ḳhūn-e-dil hī par masā.ib kaash ho jaate tamām
dekhnā ye hai ki honā aur kyā hai is ke ba.ad
ḳhud ko pahchāne to insāñ kyuuñ rahe pāband-e-ġhair
ye kamāl-e-be-hayā.ī hai zavāl-e-his ke ba.ad
koī jaatā hai to jaa.e kis ko parvā hai yahāñ
bazm-e-ālam ye kaho suunī huī hai kis ke ba.ad
kho diyā shohrat ne apnī sher-ḳhvānī kā mazā
daad mil jaatī hai 'nātiq' har ratab-yābis ke ba.ad