ḳhud ho ke kuchh ḳhudā se bhī mard-e-ḳhudā na maañg
rasm-e-duā ye hai ki duā le duā na maañg
nādān mā-sivā se na kar iltijā na maañg
māñge ḳhudā se bhī to ḳhudā ke sivā na maañg
maiñ apnī be-zarī kī nadāmat ko kyā kahūñ
tū aur sharmsār na kar ai gadā na maañg
un kā karam bhī dekh le apnā bharam bhī rakh
har mudda.ī se maañg magar mudda.ā na maañg
ḳhūgar ho dard kā ki yahī hai ilāj-e-dard
ye kis ke bas kā rog hai us kī davā na maañg
rasm-e-talab meñ kyā hai samajh kar uThā qadam
aa tujh ko ham batā.eñ ki kyā maañg kyā na maañg
rakkhī huī hai saarī ḳhudā.ī tire liye
haqdār ban ke sāmne aa maañg yā na maañg
is ḳhāk-dān-e-dahr meñ ghuTtā agar hai dam
maqdūr ho to aag lagā de havā na maañg
miltī nahīñ murād to 'nātiq' ḳhayāl chhoḌ
merī salāh ye hai ki tū ruuTh jā na maañg