ek hī āvāz par vāpas palaT ā.eñge log
tujh ko phir apne gharoñ meñ DhūñDne jā.eñge log
Dūbte sūraj kī sūrat merā chehra dekh lo
phir kahāñ bāb-e-ma.ānī DhūñDne jā.eñge log
mat kaho qismat hai apnī be-dilī nāguftanī
phir sahar hogī daraḳhshāñ phir bhale ā.eñge log
pal jhapakne tak hai ye hangāma-e-vāraftagī
jab nazar se duur hoge bhūlte jā.eñge log
phir na.ī ḳhvāhish ke zarroñ se banā.eñge nagar
phir na.ī rasm-e-talab rasm-e-vafā lā.eñge log
munhasir rañgoñ kī ātish par nahīñ hai dilkashī
maile kapḌoñ meñ bhī tujh ko dekhne ā.eñge log