bane jo shams-o-qamar nañg-e-āsmāñ nikle
jinheñ charāġh samajhte rahe dhuāñ nikle
zarā sī der meñ ik riñd ho gayā momin
yaqīñ use bhī na thā ham bhī ḳhush-gumāñ nikle
na ham meñ jauhar-e-'ġhālib' na un meñ shān-e-'zafar'
to kis qusūr meñ koī qasīda-ḳhvāñ nikle
kisī kī chaah meñ jab jaañ bhī ham gañvā aa.e
to lutf-e-yār ke qisse kahāñ kahāñ nikle
maiñ sochtā huuñ ki tārīḳh kyā kahegī hameñ
sahar ba-dosh chale shab ke pāsbāñ nikle
hadaf hamīñ ko banānā ki mo'atabar Thahro
is anjuman meñ agar zikr-e-dostāñ nikle
jo sañg-e-mīl the be-ābrū hue 'ḳhālid'
jo gard-e-pā bhī na the mīr-e-kārvāñ nikle