Khalid Yusuf

garche har samt masail ke hain ambar bahut

Khalid Yusuf

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1940
garche har samt masā.il ke haiñ ambār bahut
apnī taqrīr pe hai shaiḳh ko isrār bahut
ham ne maanā ki tire shahr meñ sab achchhā hai
koī iisā ho to mil jā.eñge bīmār bahut
nā-sapāsī kā samar dar-ba-darī hai yaaro
yaad aa.egī ye TuuTī huī dīvār bahut
aaj phir qāfila-e-haq kā ḳhudā hāfiz hai
shahr vāloñ meñ nahīñ jur.at-e-inkār bahut
ham jo afrañg se haare haiñ to do bātoñ par
vaqt kī qadr nahīñ garmi-e-guftār bahut
qissa-e-ḳhair na chhupne ke bahāne lākhoñ
ḳhabar-e-bad pe uchhalte haiñ ye aḳhbār bahut
baat sunñe ke liye sirf havā.eñ 'ḳhālid'
baat karne ke liye dost bahut yaar bahut
Top Urdushayar.com