Khalid Yusuf

bahut mushkil hai dariya par jaana

Khalid Yusuf

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1940
bahut mushkil hai dariyā paar jaanā
magar hai kufr himmat haar jaanā
bahut mumkin hai qismat muntazir ho
to phir ḳhvāboñ meñ bhī bedār jaanā
na jaanā halqa-e-zulmat meñ chāhe
paḌe maqtal pas-e-dīvār jaanā
ye kah kar vo chalā sū-e-shahādat
ḳhudā ke paas kyā bīmār jaanā
amīr-e-shahr kā husn-e-tadabbur
raqīboñ ko bhī apnā yaar jaanā
muqaddar thā jo bach aa.e salāmat
dil-e-inkār ko iqrār jaanā
tamannā jiit kī ho zindagī meñ
to har mahfil meñ le kar haar jaanā
agar munsif banā vo ḳhud na hogā
ye raaz us ne sar-e-darbār jaanā
ye paiham muflisī jin kā karam hai
unhīñ ko ham ne pālanhār jaanā
lab-o-ruḳhsār par taale paḌe haiñ
to kyā 'ḳhālid' pa.e dīdār jaanā
Top Urdushayar.com