charāġh zabt-e-tamannā se jal na jaa.eñ kahīñ
guloñ ke ashk sitāroñ meñ Dhal na jaa.eñ kahīñ
isī liye haiñ garāñ-pā ki ham jo tez chale
dayār-e-yār se aage nikal na jaa.eñ kahīñ
bichhā rahe haiñ mirī raah meñ jo añgāre
vo haath phuul haiñ Dartā huuñ jal na jaa.eñ kahīñ
qadam qadam pe bichhāo bisāt-e-kaif-o-nishāt
sharāb aur pilāo sambhal na jaa.eñ kahīñ
har ek gaam pe ashkoñ ke garm chashme haiñ
diloñ ke sañg sambhālo pighal na jaa.eñ kahīñ
chale chalo ki bharosa nahīñ havāoñ kā
abhī haiñ saath abhī ruḳh badal na jaa.eñ kahīñ
dar-e-habīb ho yā kūcha-e-adū 'ḳhālid'
ye aarzū hai ki ab sar ke bal na jaa.eñ kahīñ