har sher ko gulāb kiyā kyā ġhalat kiyā
haañ terā intiḳhāb kiyā kyā ġhalat kiyā
rauñdā nahīñ kabhī kisī jugnū ko zer-e-pā
zarre ko āftāb kiyā kyā ġhalat kiyā
lab par har ek shaḳhs ke thī maslahat kī mohr
ham ne hī kuchh ḳhitāb kiyā kyā ġhalat kiyā
jo māvara-e-zehn-e-faqīhāñ thā vo gunāh
us kā bhī irtikāb kiyā kyā ġhalat kiyā
kab tak piseñge zulm kī chakkī meñ mere log
elān-e-inqalāb kiyā kyā ġhalat kiyā
jo dushman-e-avām the nafrat unhīñ se kī
aur ishq be-hisāb kiyā kyā ġhalat kiyā
is aas meñ ki sab ko mayassar ho sukh kī niiñd
qurbāñ har ek ḳhvāb kiyā kyā ġhalat kiyā
aayā adab barā-e-adab kā ḳhayāl jab
likhne kā band baab kiyā kyā ġhalat kiyā
'ḳhālid' rahe na sab kī tarah bas qalam qulī
zulmat ko be-naqāb kiyā kyā ġhalat kiyā