vafā ke naam pe rakkhī haiñ tohmateñ kyā kyā
bigāḌ dī haiñ zamāne ne sūrateñ kyā kyā
hamīñ pe dosh hai un kī qazā namāzoñ kā
janāb-e-shaiḳh ne DhūñDīñ vazāhateñ kyā kyā
baḌe ḳhulūs se ik shahr-e-gul ujaaḌ liyā
huī haiñ ahl-e-nazar se himāqateñ kyā kyā
fareb-e-sīm-o-javāhar hue haiñ nām-o-numūd
ḳhayāl-e-yār se uljhī haiñ zulmateñ kyā kyā
vo mehrbāñ to na thā par ḳhulūs bhī na rahā
paḌī haiñ ġhair kī sohbat meñ ādateñ kyā kyā
zabān-e-qātil-o-maqtūl par hai ek hī naam
ḳhudā ke naam pe guzrīñ qayāmateñ kyā kyā
baḌhā ke halqa-e-rindāñ kī ranjisheñ 'ḳhālid'
sitamgaroñ ne nikālī haiñ hasrateñ kyā kyā