Khalid Yusuf

dekhiye usko to har baat gul-e-tar ki tarah

Khalid Yusuf

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1940
dekhiye us ko to har baat gul-e-tar kī tarah
baat kiije to vahī shaḳhs hai patthar kī tarah
aql hairāñ hai kin alfāz meñ tārīf karūñ
husn aur vo bhī chhalakte hue sāġhar kī tarah
barq-e-guftār sahī sho.ala vo talvār sahī
ham magar zarf bhī rakhte haiñ samundar kī tarah
āzmāoge to ham jaañ se guzar jā.eñge
kāġhzī sher nahīñ haiñ kisī afsar kī tarah
dil ko bahlāte haiñ afsāna-e-āzādī se
ham ne ik tauq pahan rakkhā hai zevar kī tarah
raaj karte haiñ vahī log diloñ par 'ḳhālid'
baḳhsh dete haiñ jo dushman ko sikandar kī tarah
Top Urdushayar.com