Khalid Yusuf

uqab dil ho to sara jahan ek sa hai

Khalid Yusuf

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1940
uqaab dil ho to saarā jahān ek sā hai
zamīn koī bhī ho āsmān ek sā hai
koī Thikāna vatan kā badal nahīñ hotā
muhājiroñ ke liye har makān ek sā hai
ta.ayyunāt-e-ilāqa briādrī firqe
sipāh-e-jahl kahīñ ho nishān ek sā hai
vo koī sāhab-e-jāgīr ho ki mullā ho
magar hamāre liye qahrmān ek sā hai
nigāh masnad-e-a.alā pe roz-e-avval se
dayār-e-yār kā har pāsbān ek sā hai
panāh dāman-e-qānūn meñ na masjid meñ
hamāre shahr meñ har sā.ebān ek sā hai
hamārī aañkh kā taarā vo ho nahīñ saktā
tamām bazm pe jo mehrbān ek sā hai
falūja-o-najaf-o-karbalā se pahle vo
samajh rahe the ki har be-zabān ek sā hai
hazār baar bhī luT kar sabaq nahīñ sīkhā
vafā ke shahr meñ har ḳhush-gumān ek sā hai
jihād-e-saif ho 'ḳhālid' ki ho jihād-e-qalam
kisī zabān meñ ho imtihān ek sā hai
Top Urdushayar.com