ahd-e-ḳhurshīd meñ zarroñ kī haqīqat kyā hai
gard to aap hī chhaT jā.egī ujlat kyā hai
baat kiije jo ujāloñ kī to vo kahte haiñ
vasl kī raat ujāle kī zarūrat kyā hai
chand be-zor shajar chand khilā.e hue phuul
aur gulchīñ kī gulistāñ pe ināyat kyā hai
kūchā-e-zahr-e-faroshāñ meñ nikal aayā huuñ
kūcha-e-yār meñ suqrāt kī qīmat kyā hai
raakh ho jaate haiñ kitne hī usūloñ ke charāġh
tab kahīñ jā ke ḳhabar hotī hai shohrat kyā hai
hai mire sher meñ kuchh us kī shabāhat varna
phuul kyā chiiz haiñ kaliyoñ kī sabāhat kyā hai
dil qalandar ho to insān sitāroñ se buland
afsarī jāh-o-hasham daulat-o-shohrat kyā hai
sar vahī hai jo kisī taaj kā muhtāj na ho
zulf-e-jānāñ nazar aa.e to hukūmat kyā hai
ho jise jur.at-e-inkār mayassar 'ḳhālid'
us ko miTTī ke khilaunoñ kī zarūrat kyā hai