vaj.h-e-rusvā.ī hai ab lā.eq-e-mahfil honā
un kī fahrist-e-tabarrā meñ na shāmil honā
fan kā da.avā hai to kuchh jur.at-e-iz.hār bhī ho
zeb detā nahīñ fankār ko buzdil honā
mad.h-e-gul-chīñ ho jahāñ maslak-e-murġhān-e-chaman
ham ko manzūr nahīñ faḳhr-e-anādil honā
apnī pahchān hai vo qarya-e-tārīk jahāñ
munsifoñ ko bhī mayassar nahīñ aadil honā
mere sheroñ ne use soch meñ Daalā to sahī
nek hai dil meñ bhī razm-e-haq-o-bātil honā
chāñd nikle to sahī baam pe kuchh shor to ho
kuchh zarūrī to nahīñ hai mah-e-kāmil honā
na siyāsat na ma.īshat na ba-nām-e-maz.hab
ab gavārā nahīñ pāband-e-salāsil honā
sāneha is se baḌā aur bhalā kyā hogā
'ḳhālid' us shoḳh ke qabze meñ mirā dil honā