Khalid Yusuf

chashm-o-gesu ka koi zikr na ruKHsar ki baat

Khalid Yusuf

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1940
chashm-o-gesū kā koī zikr na ruḳhsār kī baat
baiTh kar kījiye un se dar-o-dīvār kī baat
ye adā.eñ ye ishāre ye hasīñ qaul-o-qarār
kitne ādāb ke parde meñ hai inkār kī baat
raat bhar jis kī tamannā meñ jale haiñ ham log
vo sahar shaiḳh kī nazroñ meñ hai kuffār kī baat
bazm-e-aġhyār agar ho to bichhe jaate haiñ
aur karte haiñ vo ham se rasan-o-dār kī baat
mad.h-e-sayyād bahar-hāl zarūrī to nahīñ
chup raho ye bhī hai ab jur.at-e-kirdār kī baat
kis bharose pe kareñ ishq kā saudā 'ḳhālid'
vaqt shāyad hai ki rahtī nahīñ talvār kī baat
Top Urdushayar.com