āñdhiyāñ ġham kī chalīñ aur karb-bādal chhā ga.e
tujh se kaise ho milan sab rāste dhundlā ga.e
kirchī kirchī ḳhvāhisheñ āñkhoñ meñ chubh kar rah ga.iiñ
zard mausam aas kī hariyāliyoñ ko khā ga.e
maiñ ki jis ne har sa.ūbat muskurā kar jhel lī
manzileñ aa.iiñ to kyuuñ āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
tere nā aane ke dukh meñ shiddateñ phūloñ ne kiiñ
vaqt se pahle hī sab gajre mire murjhā ga.e
qaht jazboñ kā paḌā vīrāñ se haiñ dil ke nagar
shahr par aaseb shāyad hijr ke mañDlā ga.e
da.avā chāhat kā nahīñ par jab use sochā 'urūj'
phuul ḳhushbū rañg taare aañkh meñ lahrā ga.e