Salman Sarwat

fasil-e-KHwab pe siDhi lagane wala hun

Salman Sarwat

Karachi, Sindh, Pakistan

1977
fasīl-e-ḳhvāb pe sīḌhī lagāne vaalā huuñ
maiñ ek raaz se parda uThāne vaalā huuñ
taḳhaiyyulāt ke daane bikher kar har-sū
zamīn-e-aql pe hairat ugāne vaalā huuñ
mirī nazar meñ ye jīvan hai jal-parī jaisā
maiñ shoḳh rañg ke sāgar dikhāne vaalā huuñ
gumāñ kī had se bhī aage paḌāv Daalā hai
bahut rukā to faqat shab batāne vaalā huuñ
maiñ ā.inoñ ko ta.ajjub meñ Daal kar ik din
tamām aks nazar se churāne vaalā huuñ
maiñ ho gayā huuñ bahut mutma.in suhūlat meñ
so mushkilāt meñ ḳhud ko phañsāne vaalā huuñ
fasāne ḳhuub gaḌhe haiñ binā kahānī ke
ġhazal bhī ishq se baalā sunāne vaalā huuñ
Top Urdushayar.com