Salman Sarwat

kai silsilon se juDa hua ye jo zindagi ka safar raha

Salman Sarwat

Karachi, Sindh, Pakistan

1977
ka.ī silsiloñ se juḌā huā ye jo zindagī kā safar rahā
na.ī manziloñ kī talāsh meñ ye rahīn-e-rāh-guzar rahā
vo jo log mere ḳhulūs kā baḌā barmalā sā javāz the
jo nigāh-e-nāz kā zo.am the maiñ unhī kā sarf-e-nazar rahā
maiñ dayār-e-yār meñ ajnabī jahāñ umr saarī guzar ga.ī
jise maiñ ne apnā samajh liyā vo nagar jahān-e-digar rahā
kabhī sāz-e-ġham se jo sar mile to maiñ raqs-gāh meñ jal uThā
mire baḳht meñ thī jo naġhmagī maiñ usī ke zer-e-asar rahā
kisī aise ḳhauf meñ mubtalā ki bayāñ karūñ to karūñ bhī kyā
thī jo mumkināt se māvarā mujhe aisī baat kā Dar rahā
mirī aarzū koī ḳhvāb thā so maiñ rat-jagoñ se ulajh paḌā
mirī āfiyat thī ḳhumār meñ mujhe jāgne meñ hunar rahā
sabhī guftugū kā ma.aal hai na savāl kar na javāb de
yahāñ shor-o-ġhul ke bahāv meñ jise chup lagī vo amar rahā
Top Urdushayar.com