Salman Sarwat

sar-e-tufan-e-gham aksar sahaara DhunD lete hain

Salman Sarwat

Karachi, Sindh, Pakistan

1977
sar-e-tūfān-e-ġham aksar sahārā DhūñD lete haiñ
udāsī ke samundar meñ kināra DhūñD lete haiñ
kabhī to sāmne kī baat bhī ham par nahīñ khultī
kabhī tah-dāriyoñ meñ gum ishāra DhūñD lete haiñ
tabī.at rañg meñ aa.e to ham chashm-e-tasavvur se
kisī be-jān manzar meñ nazāra DhūñDh lete haiñ
badal Daale haiñ kitne ghar ḳhushī ke vāste ham ne
magar ye ġham hamesha ghar hamārā DhūñDh lete haiñ
zamīñ jo mehrbāñ hotī nahīñ to ab yahī hal hai
falak par apnī qismat kā sitārā DhūñD lete haiñ
hamārī nā-umīdī aur tumhārī ārzūoñ kā
mudāvā ek hai mil kar ḳhudārā DhūñD lete haiñ
gurezāñ hone lagtī hai kabhī jab shā.irī ham se
bahāna us se milne kā dobāra DhūñD lete haiñ
Top Urdushayar.com