Salman Sarwat

aankh hai ek kaTora pani ka

Salman Sarwat

Karachi, Sindh, Pakistan

1977
aañkh hai ik kaTorā paanī kā
aur ye hāsil hai zindagānī kā
rā.egāñ kar gayā mujhe āḳhir
ḳhauf aisā thā rā.egānī kā
chal nikaltā hai silsila aksar
ḳhush-gumānī se bad-gumānī kā
dard botā huuñ zaḳhm khilte haiñ
hai bahut shauq bāġh-bānī kā
kyā Thikāna ġham-o-ḳhushī kā ho
dil ilāqa hai lā-makānī kā
jā ke dariyā meñ pheñk aayā huuñ
ye kyā hai tirī nishānī kā
jis kā anjām hī nahīñ koī
maiñ huuñ kirdār us kahānī kā
mudda.ā nazm ho nahīñ paayā
sher dhoka hai tarjumānī kā
Top Urdushayar.com