Salman Sarwat

jahan-e-fikr mein misl-e-hawa chalta raha hun main

Salman Sarwat

Karachi, Sindh, Pakistan

1977
jahān-e-fikr meñ misl-e-havā chaltā rahā huuñ maiñ
liye gard-e-ḳhirad chāroñ dishā chaltā rahā huuñ maiñ
surāġh-e-āgahī ko maiñ koī manzil samajh baiThā
sarāb-e-aql kī jānib sadā chaltā rahā huuñ maiñ
navard-e-kā.enāt-e-nau huuñ lekin ajnabī sā huuñ
mashīnī daur se haT kar zarā chaltā rahā huuñ maiñ
mujhe ta.abīr kī ḳhvāhish thī yā shāyad nahīñ bhī thī
alam ḳhvāboñ kā le kar jā-ba-jā chaltā rahā huuñ maiñ
agar maiñ chhoḌ detā dil kabhī kā bujh gayā hotā
jalā kar tīrgī meñ ye diyā chaltā rahā huuñ maiñ
thakan ne aa liyā thā jism tab socheñ tavānā thiiñ
jahāñ meñ ruk gayā thā ye ḳhalā chaltā rahā huuñ maiñ
balā kī gardisheñ thiiñ soch meñ jo chhā ga.iiñ mujh par
banā ke zindagī ko dā.era chaltā rahā huuñ maiñ
abhī kitne marāhil aur haiñ merī masāfat ke
mujhe kuchh to batā de ai ḳhudā chaltā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com