Akhtar Usman

abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main

Akhtar Usman

1969
abhī to par bhī nahīñ taultā uḌaan ko maiñ
bilā-javāz khaTaktā huuñ āsmān ko maiñ
mufāhamat na sikhā dushmanoñ se ai sālār
tirī taraf na kahīñ moḌ duuñ kamān ko maiñ
mirī talab kī koī chiiz shash-jihat meñ nahīñ
hazār chhān chukā huuñ tirī dukān ko maiñ
nahīñ qubūl mujhe koī bhī na.ī hijrat
kaTā.ūñ kyuuñ kisī balve meñ ḳhāndān ko maiñ
tujhe naḳhīl-e-falak se paTaḳh na duuñ āḳhir
tire samet girā hī na duuñ machān ko maiñ
ye kā.enāt mire sāmne hai misl-e-bisāt
kahīñ junūñ meñ ulaT duuñ na is jahān ko maiñ
jise pahuñch nahīñ saktā falāsfa kā shu.ūr
yaqīñ ke saath milātā huuñ us gumān ko maiñ
Top Urdushayar.com