vidā.a kartā hai dil satvat-e-rag-e-jāñ ko
ḳhabar karo mire ḳhvāboñ ke shab-sulaimāñ ko
muhīt-e-jāñ na koī zā.iqa na sabza-e-shab
talāsh kartī hai ḳhushbū kisī garebāñ ko
mujhe ye fasl-e-ḳhizāñ-ḳhvāb kaaT lene do
ki phir na nikle koī dūsrā bayābāñ ko
lahū ko aañkh meñ rahne kā zom thā varna
Tapak bhī saktā thā bahlā ke dil ke tūfāñ ko
mujhe to ġham bhī panah zaad hī lage ab to
ki aa nikaltī hai hasrat bhī sair-e-mizhgāñ ko
kisī udū kī muravvat se ab bhī taaza haiñ
vo zaḳhm-e-ḳhvāb ki jo DhūñDte haiñ paikāñ ko
hisāb us kī mohabbat kā harf harf karūñ
jo aa gayā thā mirī tishnagī ke sāmāñ ko