ik sabz rañg baaġh dikhāyā gayā mujhe
phir ḳhushk rāstoñ pe chalāyā gayā mujhe
tai ho chuke the āḳhirī sāñsoñ ke marhale
jab muzhda-e-hayāt sunāyā gayā mujhe
pahle to chhīn lī mirī āñkhoñ kī raushnī
phir aa.ine ke sāmne laayā gayā mujhe
rakkhe the us ne saare switch apne haath meñ
be-vaqt hī jalāyā bujhāyā gayā mujhe
chāroñ taraf bichhī haiñ añdheroñ kī chādareñ
shāyad abhī fuzūl jagāyā gayā mujhe
nikle hue the DhūñDne ḳhūñ-ḳhvār jānvar
kāñToñ kī jhāḌiyoñ meñ chhupāyā gayā mujhe
ik lamha muskurāne kī qīmat na pūchhiye
be-iḳhtiyār pahle rulāyā gayā mujhe