koī to kaam achchhā rah gayā hai
hameñ bas yaad itnā rah gayā hai
hameñ Dhonā hai lāshoñ ko musalsal
yahī ik kaam apnā rah gayā hai
mohabbat kam muravvat hai ziyāda
vahāñ bas ānā-jānā rah gayā hai
jo hai sab kuchh palaT saktā hai pal meñ
kisī kā ik ishāra rah gayā hai
bahut kuchh kaam ham sab kar chuke haiñ
diloñ meñ ghar banānā rah gayā hai
sabhī aise tamāshe ho chuke haiñ
bas ik vaisā tamāshā rah gayā hai
bahut tāḳhīr se ham ne ye jaanā
zamīñ par kaam kaisā rah gayā hai
alāmat kī zarūrat thī jahāñ par
vahāñ bas isti.āra rah gayā hai
zamīñ ko āsmāñ kaise banāte
tasavvur hī meñ naqsha rah gayā hai
hamārī āḳhirī ḳhvāhish na pūchho
kisī ko kyā batānā rah gayā hai