rahbar bhī kare kyā koī da.avā mire aage
ban jaatā hai jañgal meñ bhī rasta mire aage
maiñ tujh ko sameTūñ yahī koshish rahī har dam
itnā na bikhar ai mirī duniyā mire aage
terī hī tarah maiñ ne luTāyā hai sabhī kuchh
sharminda na kar haath na phailā mire aage
kal tak jo bharam thā vo bharam TuuT gayā hai
shaitān hai koī na farishta mire aage
parbat kī tarah vaqt ke siine meñ gaḌā huuñ
chaltā hī nahīñ zor havā kā mire aage
maiñ ne tujhe anjām se āgāh kiyā thā
achchhā nahīñ terā ye taḌapnā mire aage
sahrā kā musāfir huuñ maiñ ma.alūm hai tujh ko
kyoñ rakhtā hai tū shahr kā naqsha mire aage
bīmār na paḌ jā.ūñ maiñ is baat kā Dar hai
bantā hai har ik shaḳhs masīhā mire aage
duniyā kā ye da.avā hai ki sab saath haiñ mere
aa jaatī hai har baar hī tanhā mire aage