na.e sire se na.ī ravānī meñ jā rahā thā
makāñ se apne maiñ lā-makānī meñ jā rahā thā
mujhe to aisā lagā ki sahrā bhī ik galī hai
maiñ apnī vahshat kī be-karānī meñ jā rahā thā
mujhe jo rokā thā nafratoñ ne rukā maiñ pal bhar
mohabbatoñ kī maiñ sargirānī meñ jā rahā thā
safar thā āsāñ usī ne us ko banāyā mushkil
vo zālimoñ kī jo hukmarānī meñ jā rahā thā
usī ne rokā to baat merī samajh meñ aa.ī
maiñ us kī jānib to be-dhyānī meñ jā rahā thā
dukhī thā itnā ki mujh ko kahnā nahīñ thā kuchh bhī
zabāñ ke hote maiñ be-zabānī meñ jā rahā thā
payām aayā ke lauT jaao yahīñ se fauran
maiñ us kī mahfil meñ ḳhush-gumānī meñ jā rahā thā
khulī jo āñkheñ to apne bistar pe maiñ paḌā thā
bhañvar kī jānib maiñ gahre paanī meñ jā rahā thā