Mahboob Zafar

KHuda ka shukr hai girdab se nikal aaya

Mahboob Zafar

1956
ḳhudā kā shukr hai girdāb se nikal aayā
maiñ us ke halqa-e-ahbāb se nikal aayā
sajī huī thiiñ dukāneñ munāfiqat kī jahāñ
maiñ aise qarya-e-be-ḳhvāb se nikal aayā
bahut dinoñ se hisār-e-tilism-e-ḳhvāb meñ thā
tilism TuuT gayā ḳhvāb se nikal aayā
atā huī hai mohabbat kī saltanat jab se
maiñ shahr-e-dīda-e-ḳhūñ-nāb se nikal aayā
kabhī gulāb se aane lagī mahak us kī
kabhī vo anjum o mahtāb se nikal aayā
anā kī naav jahāñ Doltī phire 'mahbūb'
maiñ us fareb ke sailāb se nikal aayā
Top Urdushayar.com