Mahboob Zafar

tum apni fikr ko be-shak uDan mein rakhna

Mahboob Zafar

1956
tum apnī fikr ko be-shak uḌaan meñ rakhnā
zamīn-bos imārat bhī dhyān meñ rakhnā
nigāh paḌne na paa.e yatīm bachchoñ kī
zarā chhupā ke khilaune dukān meñ rakhnā
hameñ to ahl-e-siyāsat ne ye batāyā hai
kisī kā tiir kisī kī kamān meñ rakhnā
havā.eñ tez bahut haiñ ye chāhatoñ ke diye
zarā sambhāl ke apne makān meñ rakhnā
jadīd ahd ke maqrūz haiñ mire bachche
mire ḳhudā unheñ apnī amaan meñ rakhnā
tumhārā rañg-e-suḳhan koī bhī rahe 'mahbūb'
ġhazal kā zā.iqa apnī zabān meñ rakhnā
Top Urdushayar.com