zehn meñ lagtā hai jab ḳhush-rañg lafzoñ kā hujūm
dhundlā dhundlā sā nazar aatā hai logoñ kā hujūm
umr bhar ke ai thake haare musāfir hoshiyār
manziloñ se pesh-tar hai ik daraḳhtoñ kā hujūm
us kī yādoñ kā samāñ bhī kis qadar pur-kaif hai
jaise gulshan meñ utar aa.e parindoñ kā hujūm
mehrbāñ jab se hue jañgal pe sūraj devtā
zard sā lagne lagā sarsabz peḌoñ kā hujūm
sahm jaatā huuñ akelā pā ke apne aap ko
nasb ho dīvār-o-dar meñ jaise āñkhoñ kā hujūm
ahd-e-māzī kī taraf chāhā hai dil ne lauTnā
dekh kar schōl ke ma.asūm bachchoñ kā hujūm