tamām ḳhvāb adhūre uThā ke rakkhe haiñ
kabhī to hoñge ye puure uThā ke rakkhe haiñ
tumhāre naam kā paikar banā ke rakkhā hai
tumhāre naam ke chehre uThā ke rakkhe haiñ
ye kyā ki chāñd to bādal meñ jā ke baiThā hai
so ham ne jugnū sunahre uThā ke rakkhe haiñ
ye terī shoḳh adā.eñ haiñ aur mirī larzish
ki jitne pahre the saare uThā ke rakkhe haiñ
hameñ patā hai safar hai to dhuup bhī hogī
to ham ne peḌ ghanere uThā ke rakkhe haiñ
tumhārī yādeñ tilismāt haiñ nikalnā kyā
tumārī yaad ke pahre uThā ke rakkhe haiñ
kashīdgī kā ye aalam bhī biit jā.egā
hamāre rishte haiñ gahre uThā ke rakkhe haiñ