Sameer Kabeer

din-bhar suraj aag ugalta rahta hai

Sameer Kabeer

Nagpur, Maharashtra, India

1973
din-bhar sūraj aag ugaltā rahtā hai
chāñd bhī apne kaam meñ uljhā rahtā hai
jaane mujh meñ kaun taḌaptā rahtā hai
maiñ jiitā huuñ par vo mārtā rahtā hai
darvāze pe kunDī laTkī rahtī hai
khiḌkī se vo aatā jaatā rahtā hai
ḳhāmoshī kī bhāshā ḳhuub samajhtā hai
maiñ to chup huuñ par vo suntā rahtā hai
mere saare bādal sūkhe sūkhe haiñ
phir bhī āñgan bhīgā bhīgā rahtā hai
us se mil kar ḳhud se bāteñ karnī hai
mujh meñ kaun ye mere jaisā rahtā hai
zehn ke saare taar ulajhne lagte haiñ
dil bhī aksar bikhrā bikhrā rahtā hai
duniyā-dārī us ke bas kī baat nahīñ
vo kone meñ likhtā paḌhtā rahtā hai
maiñ ghar meñ hī rahtā huuñ aksar apne
ik sannāTā bāhar pasrā rahtā hai
Top Urdushayar.com