majma.a mire hisār meñ sailāniyoñ kā hai
jañgal huuñ merā farz nigahbāniyoñ kā hai
qatre gurez karne lage raushnā.ī ke
qissa kisī ke ḳhuun kī arzāniyoñ kā hai
ḳhush-rañg pairahan se badan to chamak uThe
lekin savāl ruuh kī tābāniyoñ kā hai
rone se aur lutf vafāoñ kā baḌh gayā
sab zā.iqa phaloñ meñ na.e pāniyoñ kā hai
sau bastiyāñ ujāḌiye dil ko na toḌiye
ye sañg-e-mohtaram ka.ī peshāniyoñ kā hai
mahfūz rah sakeñge safīne kahāñ talak
maujoñ meñ band-o-bast hī tuġhyāniyoñ kā hai
hotī haiñ dastiyāb baḌī mushkiloñ ke ba.ad
'shāhid' hayāt naam jin āsāniyoñ kā hai