Bagh Husain Kamal

yas ki kohr mein lipTa hua chehra dekha

Bagh Husain Kamal

yaas kohr meñ lipTā huā chehra dekhā

jism ek bigaḌtā huā ḳhāka dekhā

apnī sūrat bhī na pahchān sakī aañkh mirī

muddatoñ ba.ad jo maiñ ne kabhī shīsha dekhā

shahr-e-pur-haul meñ ab ke ye ajab manzar thā

sañg kushāda thā magar sañg ko basta dekhā

maiñ bhī gum-sum thā koī baat na karne paayā

us ke hoñToñ pe bhī jaise koī pahrā dekhā

terā qurb ek tamannā so tamannā rahī

hāsil-e-umr yahī hai tirā rasta dekhā

kyā ajab raakh se paidā ho koī qasr-e-azīm

ham ne ātish meñ bhī gulzār naqsha dekhā

maiñ ġhamgīn nahīñ tark-e-ta.alluq pe 'kamāl'

vo bhī nāshād thā us ko bhī fasurda dekhā

Top Urdushayar.com