jaltī bujhtī huī sham.oñ kā dhuāñ rahtā hai
kuchh ajab dhund ke aalam meñ makāñ rahtā hai
ḳhushk dariyā hai na dariyā pe hai pahra lekin
har taraf pyaas kā ḳhūñ-rañg samāñ rahtā hai
is bhare shahr meñ mushkil hai tajassus us kā
kis ko fursat jo kahe kaun kahāñ rahtā hai
bhūlnā sahl nahīñ vaqt kī sañgīnī kā
zaḳhm bhartā hai magar us kā nishāñ rahtā hai
merī ā.ankhoñ meñ haiñ sad-rañg manāzir lekin
kuchh hai ma.adūm jo ehsās-e-ziyāñ rahtā hai
niiñd aatī hai kahāñ ujḌe makāñ meñ 'shāhid'
koī aaseb kā har raat gumāñ rahtā hai