andhere ghar meñ charāġhoñ se kuchh na kaam liyā
ki apne aap se yuuñ ham ne intiqām liyā
tumhāre shahr se sauġhāt aur kyā miltī
kisī se pyaas lī maiñ ne kisī se jaam liyā
mire zavāl kī vo sā.ateñ rahī hoñgī
tumheñ pukār ke dāman kisī kā thaam liyā
shajar shajar mirī parvāz thī havā kī tarah
khulī fazā meñ mujhe kis ne zer-e-dām liyā
ajiib chiiz hai 'shāhid' ye ḳhud-shanāsī bhī
salīb-o-dār pe bhī maiñ ne apnā naam liyā