siyāh safha-e-hastī pe maiñ ubhar na sakā
mirī shabīh meñ koī bhī rañg bhar na sakā
har ek raah thī masdūd kohsāroñ meñ
bulandiyoñ se kisī tarah maiñ utar na sakā
bure dinoñ kā maiñ ik ḳhaufnāk manzar huuñ
mujhe kabhī bhī koī shaḳhs yaad kar na sakā
nukīle ḳhaar the shīshe the sañg-reze the
rah-e-hayāt se be-dāġh maiñ guzar na sakā
pukārtā rahā mujh ko koī magar 'shāhid'
maiñ mauj-e-bahr thā pal bhar kahīñ Thahar na sakā