Shahid Kaleem

lahu ka dagh na tha zaKHm ka nishan na tha

Shahid Kaleem

lahū kā daaġh na thā zaḳhm kā nishān na thā
vo mar chukā thā kisī ko magar gumān na thā
maiñ chal paḌā thā kahīñ ajnabī dishāoñ meñ
havā kā zor thā kashtī meñ bādbān na thā
maiñ us makān meñ muddat se qaid thā ki jahāñ
koī zamīn na thī koī āsamān na thā
mirī shikast mirī fat.h kuchh nahīñ ya.anī
vo hādsa thā koī merā imtihān na thā
tumhāre daur meñ har aadmī hai but kī tarah
hamāre ahd meñ patthar bhī be-zabān na thā
kisī khañDar meñ hī mujh ko diyā jalānā paḌā
chamakte shahr meñ merā koī makān na thā
maiñ sabz rañg kā chashma pahan chukā thā 'kalīm'
mirī nigāh meñ manzar lahūluhān na thā
Top Urdushayar.com