vaar huā kuchh itnā gahrā paanī kā
niklā chaTTānoñ se rasta paanī kā
dekhā ḳhuun to āñkhoñ se aañsū nikle
joḌ gayā donoñ ko rishta paanī kā
tīroñ kī bauchhaḌ bhī sahnā hai mujh ko
mere haath meñ hai mashkīza paanī kā
uḌtī ret pe likhnā hai tafsīr use
jis ne samajh liyā hai lahja paanī kā
pighlā sonā āñkhoñ meñ bhar letā huuñ
rañg jo ho jaatā hai sunahrā paanī kā
āñkhoñ meñ jitne aañsū the ḳhushk hue
qaht hai ab ke dariyā dariyā paanī kā
chaltā huuñ be-āb zamīnoñ par 'shāhid'
āñkhoñ meñ phirtā hai dariyā paanī kā