Shaista Yusuf

meri bayaz ko sheron se tum saja dena

Shaista Yusuf

Mumbai, Maharashtra, India

1952
mirī bayāz ko sheroñ se tum sajā denā
maiñ ek vahm huuñ mujh ko yaqīñ banā denā
banā ke koī kahānī hamārī hastī kī
nadī meñ kāġhzī kashtī koī bahā denā
bahut sambhāl ke rakkhā hai maiñ ne phūloñ ko
jo ho sake inheñ gul-dān meñ sajā denā
chalā gayā jo kabhī lauT kar nahīñ aayā
maiñ lauT ā.ūñgī mujh ko zarā sadā denā
añdherā DhūñDhtā rahtā hai merī parchhā.īñ
jale charāġh to chādar mujhe oḌhā denā
kitābeñ so nahīñ pā.eñgī mere ba.ad kabhī
huā tū aa ke inheñ loriyāñ sunā denā
bikhar ke rah ga.ī zarrāt-e-ġham meñ 'shā.istā'
tire qalam se na.ī shakl ik banā denā
Top Urdushayar.com