Gulzar Dehlvi

ek kafir-ada ne luT liya

Gulzar Dehlvi

1926
ek kāfir-adā ne luuT liyā
un kī sharm-o-hayā ne luuT liyā
ik but-e-bevafā ne luuT liyā
mujh ko tere ḳhudā ne luuT liyā
āshnā.ī butoñ se kar baiThe
āshnā-e-jafā ne luuT liyā
ham ye samjhe ki marham-e-ġham hai
dard ban kar davā ne luuT liyā
un ke mast-e-ḳhirām ne maarā
un kī tarz-e-adā ne luuT liyā
husn-e-yaktā kī rahzanī tauba
ik fareb-e-navā ne luuT liyā
hosh-o-īmān-o-dīn kyā kahiye
shoḳhī-e-naqsh-e-pā ne luuT liyā
rahbarī thī ki rahzanī tauba
ham ko farmāñ-ravā ne luuT liyā
ek shola-nazar ne qatl kiyā
ek rañgīñ-qabā ne luuT liyā
ham ko ye bhī ḳhabar nahīñ 'gulzār'
kab but-e-bevafā ne luuT liyā
haa.e vo zulf-e-mushk-bū tauba
ham ko bād-e-sabā ne luuT liyā
un ko 'gulzār' maiñ ḳhudā samjhā
mujh ko mere ḳhudā ne luuT liyā
Top Urdushayar.com