na saanī jab mazāq-e-husn ko apnā nazar aayā
nigāh-e-shauq tak le kar payām-e-fitna-gar aayā
kahā lā-raib baḌh kar ilm-o-dānish ne aqīdat se
jo bazm-e-ahl-e-fan meñ aaj mujh sā be-hunar aayā
sar-e-mahfil churānā mujh se dāman is kā zāmin hai
nahīñ aayā agar mujh tak ba-andāz-e-digar aayā
bahut ai dil tirī rūdād-e-ġham ne tuul khīñchā hai
kabhī vo but bhī sunñe ko ye qissa muḳhtasar aayā
hamārī ik ḳhatā ne ḳhuld se duniyā meñ lā pheñkā
agar dar-pesh duniyā se bhī phir koī safar aayā
maiñ ḳhud hī bevafā huuñ be-adab huuñ apnā qātil huuñ
har ik ilzām mere sar ba-alfāz-e-digar aayā
mukaddar kuchh fazā 'gulzār' dillī meñ sahī lekin
kahīñ ahl-e-zabāñ ham sā bhī urdu meñ nazar aayā